Khuda to kahta hai hoja to wo hojata hain fir qayanaat banne main 6 din ka time kyun kuchh log to kahte hain 6 din earth wale din nahi balki wo ek din Earth ke ek din se kai 50000times se bhi lamba tha itna time kyun laga jab khuda to kahta hai hoja to wo hojata hai ..
Big bang theory ke according earth big bang ke 10 billion saal baad bana to khuda 10 arab saal tak stars ko bante khatam hote hue galaxies ki takkar dekhta raha fir earth bana di 10 arab saal baad itne time baad 10arab saal ☹️ wo to kahta hain hoja to ho jata hai 10 Arab saal thodi lagta hai.
Earth banaane ke 4Arab saal tak Anginat janwar aaye ek dusre ko maar rahe thay roj Croro janwaro ka sikaar hota Roj Croro janwar ek dusare ko maar ke kha Rahe thay yeh sab khuda 4arab saal tak dekhta raha Fir hazrat Adam ko bana diya Christian log kahte hai Adam 6000 saal pehle aaye muslim ko time ka pata nahi fir bhi Prophets ki story dekh ke pata chalta hai 2laakh saal ke andar Andar hi aaye honge matlab 13Arab saal tak aise hi chalta raha aur fir khuda ne aachanak adam ko hum sabko adam se paida kar diya aur mujhe paida kar diya .
Aur mujhe akhiri nabi ko manna padega Quran padhke hidayat leni padegi namaz padhni padegi roze rakhne padege agr aur jis nabi ko dekhi nahi unko manna padega jis khuda ko dekhi nahi usko bhi manna padega nahi manni to humesha humesha ke liye jahannum mai jalna padega isme meri kya galti hai agr mujhe yeh sab sahi nahi lag raha na mere pass koi aisi wajah hai jo mai insab mai manu fir bhi mujhe jahannum mai daal diya jayga .
Fir mai kis muh se kahu khuda Rahman aur Rahim hai ☹️
Yeh dekho Ek Dr. Zakir ka Chella jo Arabic Word اَیَّامٍ ka translation din ko galat keh raha hai.
Baki aur ayat dekho usme roze ke din ke liye bhi "ayyam" word ka use hua hai .
Aur bhi aisi kai aayate hai Qur'an mai jaha "ayyam" ka matlab din hi hai aur yeh Dr. Zakir Naik jese molana ka sunke bol raha hai ki ayyam ka matlab din nahi balki ek time prior hai 😂
Jese dahaha ka matlab ostrich egg hai lol 🤣


0 Comments